Wednesday 20 September 2017

Ya Nabi nazre karam farmana Aye Hasnain k Nana

Ya Nabi nazre karam farmana Aye Hasnain ke Nana
Zahra paak ke sadqe humko Taiba me bulana
Aye Hasnain ke nana

Aap ke dar ka mai hu bhikari Aap hai mere daata
Saare rishte naato se hai Pyaara apna naata
Aap to hai aata hai jinko sabki laaj nibhana
Aye Hasnain ke nana

Be saaya hai lekin woh Jag par hai aapka saaya
Arshe mo`alla bana mohalla Deed ko Rab ne bulaya
Hashr tak na hoga kisi ka Aisa aana jana
Aye Hasnain ke nana

Saj gayi hai meelad ki mehfil Kya hai khoob nazara
Kaif o masti me dooba hai dekho aalam saara
Dhund rahi aap ki rehmat bakshish ka bahaana
Aye Hasnain ke nana

Nisbat ka faizan hai dekho khadim e Gaus e Jali hu
Karta hai mujh pe naaz zamana mai Ausaat e Ali hu
Aap ki aal ke dar ka sag hu aur saahil hu purana

Ya Nabi nazre karam farmana Aye Hasnain ke nana