Wednesday 29 October 2014

Salaam Ya Hussain Raddiyal-lahu-tala-anhu


Thursday 27 March 2014

Tarap Raha Hoon Madinay Ki Haazri Ke Liye

Tarap Raha Hoon Madinay Ki Haazri Ke LiyeSahara Chahiyay Sarkar Zindagi Ke Liye


Huzoor Aisa Koi Intizaam Ho Jaye Salaam Ke Liye Haazir Ghulam Ho Jaye 


Naseeb Walon Mein Mera Bhi Naam Ho JayeJo Zindagi Ki Madinay Mein Shaam Ho Jaye 


Mein Shaad Shaad Maronga Agar Dum-e-Aakhir Zubaan Pe Jaari Muhammad Ka Naam Ho Jaye 


 Sahara Chahiyay Sarkar Zindagi Ke Liye Tarap Raha Hoon Madinay Ki Haazri Ke Liye 


 Woh Bazm-e-Khaas Jo Darbaar-e-Aam Ho Jaye Umeed Hai Keh Hamara Salaam Ho Jaye


Idher Bhi Ik Nigaah-e-Lutf-e-Aam Ho Jaye Ke Aashiqon Mein Hamara Bhi Naam Ho Jaye 


Tere Ghulam Ki Shaukat Jou Dekh Le Mehmood Abhi Ayaaz Ki Surat Ghulam ho Jaye 


 Mein Qayal Aap Ke Rauzay Ka Hoon Woh Qayal Tur Kaleem Se Na Kissi Din Kalaam Ho Jaye 


 Madinay Jaon Phir Aaon Dobara Phir Jaon Tamaam Umar Issi Mein Tamaam Ho Jaye


 Bulao Jald Madinay Mein Hai Ameer Ko Khauf Kaheen Na Umar Do Roza Tamaam Ho Jaye 


 Tumhari Naat Parhon Mein Sunoo Likhoon Har Dum Ye Zindagi Meri Yunhi Tamaam Ho Jaye 


 Meri Namaz-e-Janazah Ki Yun Ibadat Ho JayeKe Do Jahan Ke Aaqa Imam Ho Jaye 


 Sahara Chahiyay Sarkar Zindagi Ke Liye Tarap Raha Hoon Madinay Ki Haazri Ke Liye 


 Piya Raza O Ziya Ne Piya jou Murshid Ne A'ta Mujhay Bhi Shah Aisa Jaam Ho Jaye
















Utha Do Parda Dikha Do Chehra Ke Noore Baari Hijab Me Hai

Utha Do Parda Dikha Do Chehra Ke Noore Baari Hijab Me Hai
Zamana Taarik Ho Raha Hai Ki Mehr Kab Se Nikaab Me Hai

Nahi Wo Meethi Nigaah Waala Khuda Ki Rehmat Hai Jalwa Farma
Ghazab Se Unke Khuda Bachaye Jalaal E Baari Etaab Me Hai

Jali-Jali Bu Se Uski Paida Hai Sozish E Ishqe Chashme-Wala
Kabaabe Aahu Me Bhi Na Paaya Maza Jo Dil Ke Kabaab Me Hai

Unhi Ki Bu Maya E Saman Hai Unhi Ka Jalwa Chaman Chaman Hai
Unhi Se Ghulshan Mehek Rahe Hai Unhi Ki Rangat Ghulab Me Hai

Teri Julu Me Hai Maahe Taibah Hilaal Har Margo Zindagi Ka
Hayaat Jaan Ka Rikab Me Hai Mamaate A'ada Ka Daab Me Hai

Siyah Libasane Daare Duniya Wa Sabz-Poshane Arshe Aala
Har Ik Hai Unke Karam Ka Pyasa Ye Faiz Unki Janaab Me Hai

Wo Ghul Hai Lub-haye Naazuk Unke Hazaaro Jhadte Hai Phool Jinse
Ghulab Ghulshan Me Dekhe Bulbul Ye Dekh Ghulshan Gulaab Me Hai

Jali Hai Soze Jigar Se Jaan Tak Hai Taalib E Jalwa E Mubarak
Dikha Do Wo Lab Ki Aab E Haiwan Ka Lutf Jinke Khitaab Me Hai

Khade Hai Munkar Nakeer Sarr Par Na Koi Haami Na Koi Yaavar
Bata Do Aakar Mere Payamabar Ki Sakht Mushkil Jawab Me Hai

Khuda E Kahhar Hai Ghazab Par Khule Hai Badd-kariyon Ke Daftar
Bacha Lo Aa Kar Shafe'e Mehshar Tumhara Banda Azaab Me Hai

Kareem Aisa Mila Ki Jiske Khule Hai Haath Aur Bhare Khazane
Batao Ay Mufliso Ki Fir Kyu Tumhara Dil Izterab Me Hai

Gunah Ki Tareekiya Ye Chayi Umad Ke Kaali Ghata-e Aayi
Khuda Ke Khursheed Mehr Farma Ki Zarra Bas Ijteraab Me Hai

Kareem Apne Karam Ka Sadqa La-eeme Be Qadr Ko Na Sharma
Tu Aur Raza Se Hisaab Lena Raza Bhi Koi Hisaab Me Hai


May so jaoo Ya MUSTAFA kehtey kehtey

May so jaoo Ya MUSTAFA  kehtey kehtey Khulley aankh Salle Aala kehtey kehtey

Sitam pay Sitam seh gaey dushmano kay Habeeb-e-KHUDA, Ya KHUDA kehtey kehtey

Guzarte thay kaantey bharrey raasto say RASOOL-e-KHUDA, Marhaba kehtey kehtey

Huwey surkhuru Aap her maarkey may Fakat Rabbana , Rabbana kehtey kehtey

Shahe her do Aalam ne naam-e-jabee say Bhara paet shukrey KHUDA kehtey kehtey

Andheiroo may ham ne kiya hay ujaala Aqeedat sey Noor-ul-Huda kehtey kehtey

Dilley muztarib ko qaraar aagya hay Shabo roz Ya MUJTABA  kehte kehte

Museebat kay maaro kathan manzillo say Guzer jaoo Ya Mustafa kehtey kehtey


Nabi Ka Jashn Aaya Chaand Taaron Jhoomtay Rehna

Nabi Ka Jashn Aaya Chaand Taaron Jhoomtay Rehna   Nabi Ke Naam Per Ae Naamdaaron Jhoomtay Rehna


Jahaan Mein Noor Leykar Noor Wala Aanay Wala Hai    Meray Hamraah Tum Bhi Dil Ke Taaron Jhoomtay Rehna

Galli Koochay Sajadena Harray Jhanday Lagadena   Taqaaza Ishq Ka Hai Mere Yaaron Jhoomtay Rehna


Nabi-e-Sarwar-e-Konain Ki Aamad Ke Lamhoon Mein    Durood-e-Pak Parhtay Parhtay Saaron Jhoomte Rehna

Musawaat-o-Akhuwat Ka Payaam-e-Dil Nasheen Laaye   Khushi Mein Aey Ghareebon Maaldaaron Jhoomte Rehna


Woh Aaye Gham Qaday Mein Ek Khushi Ki Roshni Phooti    Khuda Ke Shukar Mein Aey Gham Ke Maaron Jhoomte Rehna

Khushi Ik Dil Pe Hai Chaayei Wiladat Ki Ghari Aayei   Arey Aey Gul A’zaro Maah Paaron Jhoomte Rehna


Bujhay Na Ishq-e-Ahmed Ki Agan Qalb-e-Ujagar Se   Dharakna Aur Ae Dil Ke Shararon Jhoomte Rehna

Madine Ke Waali Do Alam Ke Daata Meri Bhi Soue Taibah Lagai Hai

Madine Ke Waali Do Alam Ke Daata Meri Bhi Soue Taibah Lagai Hai


May Mohtaj Hoo Ek Nigahe Karam Ka Tumhare Karam Se Meri Zindagi Hai


Hai Wadi e Aiwan Pe Khalique Ki Rehmat Musallam Hai Baitul Muqaddas Ki Azmat


Magar Qalb e Muztar Ko Hai Jiski Haajat Woh Sultan e Taibah Tumhari Gali Hai


Tumhare Hi Tukdo Pe Mera Guzara Tumhare Darbar Ka Hoo May Mangta


Jo Tumse Na Mangoo To Fir Kis Se Mangoo Tumhara To Saara Gharana Saqi Hai


Yahan Reh Ke Jina Hai Marne Se Badtar Wahan Jaake Marne Jine Se Behtar


Mayassar Jo Ho Unke Qadmo May Rehkar Wohi Zindagi Asla May Zindagi Hai


Mere Aaqa Aao Ke Mudda Hui Hai Teri Rah May Akhiya Bichate Bichate


Badi Hasrato Se Badi Chahato Se Bahut Deein Huey Ghar Sajate Sajate


Mera Hai Ye Iman Ye Mera Yaqin Hai Mere Mustafa (Sallaho Alayhe Wasslam) Sa Na Koi Hasin Hai


Rukh Unka Dekha Hai Jab Se Qamar Ne Nikalta Hai Mooh Ko Chupate Chupate

Khusravi Achhi Lagi Na Sarwari Achhi Lagi


Khusravi Achhi Lagi Na Sarwari Achhi LagiHum Faqeero Ko Madine Ki Gali Achhi Lagi

Mai Na Jaunga Kahi Bhi Darr Nabi Ka Chor KarMujhko Ko-E Mustafa Ki Chaakri Achhi Lagi

Rakh Diye Sarkaar Ke Qadmo Me Sultaano Ne SarrSarwar E Kouno Makaa Ki Saadgi Achhi Lagi

Naaz Kar Tu Ay Haleema Sarwar E Kounain ParGar Lagi Achhi To Teri Jhopdi Achhi Lagi

Jinko Karni Hai Shahenshaho Ki Taarefe KareMujhko Aaqa Bas Tumhari Naat Hi Achhi Lagi

Qabr Roushan Ho Gayi Noor E Nabi Se Is TarahAashiqo Ko Maut Bhi Aur Qabr Bhi Achhi Lagi

Maut Jo Maangi Dayar E Mustafa Ke SaamneMaut Ko Bhi Aarzu Meri Badi Achhi Lagi

Mahro Mah Ki Roushni Maana Ki Achhi Hai MagarSabze Ghumbad Ki Mujhe To Roushni Achhi Lagi

Duur The To Zindagi Be-Rang Thi Be-Kaif ThiUnke Kooche Me Gaye To Zindagi Achhi Lagi

Aaj Mehfil Me Niyazi Naat Jo Maine PadhiAashiqane Mustafa Ko Wo Badi Achhi Lagi

Shah-e-Wala Mujhe Taiba Bulalo

Shah-e-Wala Mujhe Taiba BulaloTaiba Bulalo Mujhe Taiba Bulalo


Deyorri Ka Apni Kutta BanaloQadmon Se Apne Mujhko Lagalo


Sadqay Mein Sadqay Mein Sadqay BulaloFurqat Ke Maaron Ko Piyare Jila Lo


Pyare Jila Lou Mujhe Aaqa Jila LoMaula Jila Lou Mujhe Aaqa Jila Lo


Duniya Ke Jhagron Se Yaksar Chura KarGhayron Ki Ulfat Ko Dil Se Mita Kar


Shah-e-Wala Mujhe Apna BanaloApna Banalou Mujhe Apna Banalo


Naykon Ke Sadqay Mein Hum Se Baddon KoZaaron Na Zaaron Musibat Zaddon Ko


Maula Nibhalo Mere Maula NibhaloHaan Haan Nibhalou Mere Aaqa Nibhalou

Main nazar karun jaan o Jivaro, kaisa lage gaa

Main nazar karun jaan o Jivaro, kaisa lage gaaRakhdu daar - e - Sarkaar peh sar, kaisa lage gaa


Aja'e mukadar seh meray, ghar joh shahediiMain kesa lagun gaa, meraa ghar kaisa lage gaa


Jaab duur seh hai itna haseen, Ghumbad - e - khizraIs paar seh esa hai, udar kaisa lage gaa


Sarkaar neh daar peh tujhe, bulwaya hai maangteJaab ko'ii mujhe deh gaa khabar, kaisa lage gaa


Jis haath seh likhun gaa, Muhammad ka qaseedaUs haath meh Jibre'il ka par, kaisa lage gaa


Ghaus - ul - waraa seh puchlo, ik roz yeh chaal karBaghdad seh tayba ka safar, kaisa lage gaa


Aja'e mukadar seh meray, ghar joh shahediiMain kesa lagun gaa, meraa ghar kaisa lage gaa


Rakhlun gaa imaame peh, joh na'alen - e - muqadasShaho keh muqabil meraa sar, kaisa lage gaa

Kyun Kar Na Mere Dil Mein Ho Ulfat Rasool صلی اللہ علیھ وسلم Ki



Jannat Mein Le Kar Jayegi Chahat Rasool صلی اللہ علیھ وسلم Ki Chalta Hoon Mein Bhi Qaafilon Walon Ruko Zara


 Milnay Do Buss Mujhay Bhi Ijazat Rasool صلی اللہ علیھ وسلم Ki Poochay Jou Deen-O-Iman Nakeerayn Qabr Mein


 Uss Waqt Mere Lab Pe Ho Midhat Rasool صلی اللہ علیھ وسلم Ki Tarpa Ke Unke Qadmon Mein Mujhko Giraday Showk 


His Waqt Ho Lehed Mein Ziyarat Rasool  صلی اللہ علیھ وسلم Ki Sarkar صلی اللہ علیھ وسلم Ne Bulakay Madina Dekha Diya


 Hogi Mujhe Naseeb Shafa'at Rasool صلی اللہ علیھ وسلم Ki Ya Rub Dekha De Aaj Ki Shab Jalwa-e-Habeeb صلی اللہ علیھ وسلم  Ik Baar Tou Ata Ho Ziyarat Rasool صلی اللہ علیھ وسلم KiDaaman Me Unke Le Lo Panah Aaj NajdiyoMahengi Paregi Warna Adavat Rasool صلی اللہ علیھ وسلم Ki


Tou Hai Ghulam Unka Ubaid-e-Raza Tere Mehshar Mein Hogi Saath Himayat Rasool صلی اللہ علیھ وسلم Ki










Kankar Se Kalma Padhwao Phir Kehna Hum Jaise They

Kankar Se Kalma Padhwao Phir Kehna Hum Jaise TheyDoobey Suraj Ko Lautao Phir Kehna Hum Jaise They


Tum Bhi Zara Meraj Ko Jao Phir Kehna Hum Jaise TheyJao Namaze Lekar Aao Phir Kehna Hum Jaise They


Lohe Se Talwar Banana Aam Hai Duniya Main LekinTehni Ko Talwar Banao Phir Kehna Hum Jaise They


Peshani Par Daagh Banana Koi Mushkil Kaam NahiNakshe Qadam Pathar Par Banao Phir Kehna Hum Jaise They


Bamo Daro Dewar Salami Dene Lage Kuch Aisa KaroPed Ko Apne Paas Bulao Phir Kehna Hum Jaise They


Uper Jaana Neeche Aana Ye To Bashar Ki Taaqat HaiSayr E Jannat Kar Ke Dikhao Phir Kehna Hum Jaise They


Sarwar E Dee Ki Baat Badi Hai Chodon In Sab Baaton KoUnke Ghulamon Se Banjao Phir Kehna Hum Jaise They


Unki Har Ik Ungli Se Tha Jaari Chasma Ay KaleemPani Un Pyason Ko Pilao Phir Kehna Hum Jaise They

Wednesday 26 March 2014

Humko Bulana Ya Rasulallah صلی اللہ علیہ وسلم

Hum ko bulana Ya Rasool Allah
Hum ko bulana Ya Habib Allah 
Kabhi to sabz gumbad ka ujala hum bhi dekhein gai
Hamein bulwaein gay Aaqa madina hum bhi dekhein gai
 Dhadak uthay ga yeh dil ya dharakna bhool jaye gai
Dil e bismil ka us dar par tamasha hum bhi dekhain gai
Adab say hath bandhay unkay rozay per kharay bhoun gai
Sunehri jaliyoon ka youn nazara hum bhi dekhein gai
Dar e dolat say loutaya nahin jata koi khali
Wahan khairat ka batna Khudaya hum bhi dekhein gai
Barasti gunbad e khazra say takrati hoi boundein
Vahan per shaan say barish barasna hum bhi dekhein gai
Guzaray raat din apnay isi umeed per hum nay
Kisi din to jamal e ruey zaiba hum bhi dekhein gai
Dam e rukhsat qadam maan bhar kay hein mehsoos kertay hain
Kisay hai jakay lout aanay ka yara hum bhi dekhein gai
Puhanch jayein gay jis din aie ujagar unkay qadmoon main
Kisay kehtay hain janat ka nazarah hum bhi dekhein gai

Habeeb-E-Khuda Ka Nazara Karoon Mein

Habeeb-E-Khuda Ka Nazara Karoon Mai
Dil-O-Jaan Unn Per Nisara Karoon Mai

Teri Kafsh-E-Paa Yoon Sanwara Karoon Mai
Ke Palkon Se Uss Ko Bohara Karoon Mai

Khudara Ab Aao Ke Dum Hai Labbon Per
Dum-E-Waapsi Tou Nazara Karoon Mai

Teray Naam Per Sar Ko Qurbaan Karke
Tere Sar Se Sadqay Utara Karoon Mai

Ye Ek Jaan Kia Hai Agar Ho Karoron
Tere Naam Per Sab Ko Waara Karoon Mai

Mera Deen-O-Imaan Farishtay Jou Poochein
Tumhari Hee Jaanib Ishara Karoon Mai

Khuda Khayr Se Laaye Woh Din Bhi Noori
Madinay Ki Galiyyan Bohara Karoon Mai


Ghum Ho Gaye Beshumar Aaqa


Ghum Ho Gaye Beshumar Aaqa
Banda Tere Nisaar Aaqa

Bigda Jaata Hai khel mera
Aaqa Aaqa Savaar Aaqa

Manjdhaar Pe Aake Naav Tuti
De Haath Ki Hu Main Paar Aaqa

Tuti Jati Hain Peeth meri
Lillah Ye Bojh Utaar Aaqa

Halka Hai Agar Hamara Palla
Bhari Hain Tera Waqar Aaqa

Majboor Hain Hum To Fikr Kya Hai
Tumko To Hain Ikhtiyar Aaqa

Main Duur Hu Tum To Ho Mere Paas
Sun Lo Meri Pukaar Aaqa

Mujhsa Koi Ghumzada Na Hoga
Tumsa Nahi Ghumgusar Aaqa

Girdaab Me Pad Gayi Hai Kashti
Duba Duba Utaar Aaqa

Tum Wo Ki Karam Ko Naaz Tumse
Main Wo Ke Badee Ko Aar Aaqa


Fir Muh Na Pade Kabhi Khiza Ka
De De Aisi Bahaar Aaqa

Jiski Marzi Khuda Na Taale
Mera Hai Wo Naamdar Aaqa

Hain Mulke Khuda Pe Jiska Qabza
Mera Hain Wo Kaamgar Aaqa

Soya Kiye Naabkaar Bande
Roya Kiye Zaar Zaar Aaqa

Kya Bhul Hai Unke Hote Kahlaye
Duniya Ke Ye Tajdaar Aaqa

Unke Adna Gada Pe Mit Jaye
Aise Aise Hazaar Aaqa

Be-abre Karam Ke Mere Dhabbe
La Tagsiluhal-bihar Aaqa

Itni Rehmat Raza Pe Kar Lo
La Yakrubuhul Bawaar Aaqa


Gunahon ki adat churah meray Mowla

Gunahon ki adat churah meray Mowla,
Mujhay naik insaan bana meray Mowla

Meri saabiqa har khata meray Mowla,
Tu Rehmat sey apni mita meray Mowla

Tu qudrat say apni badal naikyon sey,
Har ik meri laghzish khata meray Mowla

Mujhay naik insaan bana meray Mowla

Jo tujh ko jo Teray Nabi ko pasand hai,
mujhay aisa bandhah bana meray Mowla

Tu Masjood mera mey saajid hu Tera,
Tu Malik mey bandha Tera meray Mowla

Tu Matloob mera mey talib hu Tera,
Mujhay deyday apni wila meray Mowla

Mujhay naik insaan bana meray Mowla

Tu leyga agar adal sey kaam apnay,
Mai hun mustahik naar ka meray Mowla

Tujay waasta Teri Rahmat ka Ya Rabb,
Jahannam sey mujh ko bacha meray Mowla

Jo Rahmat Teri Shah miley haal ho to,
Tikana hey jannat mera meray Mowla

Mujhay naik insaan bana meray Mowla

Na mohtaaj kar tu jahan mey kisi ka,
Mujhay muflisi sey bacha meray Mowla

Hai Ka'bay pay nazray Obaiday Raza ki,
Ho maqbool har ik dua meray Mowla

Meri ta qiyamat jo nasley ho Ya Rabb,
Ho sab Aashiq-e-Mustafah meray Mowla

Mujhay bhi dikhaday tu jalwa Nabi ka
Yahi hai meri iltijah meray Mowla

Jinon ney kaha hai duaon ka mujh sey,
Tu kar dey sabhi ka bhala meray Mowla

Rula tu mujhay bas gham-e-Mustafa mai,
Na duniya keh gham mey rula meray Mowla


Bulalo phir mujhay aye shahe bahro bar, Madinay main

Bulalo phir mujhay aye shahe bahro bar, Madinay mainMain phir rota huwa aoo, teray dar par Madinay main

Na dowlat dey nah showhrat dey, mujhay bas yeh sahaadat deyTeray kadmo main marjaoon, main ro ro kar Madinay main\

Madinay jaaney waalo jaao jaao Fi Aman'illahKadi toh apna bhi lag jaey ja bistar Madinay main

Meraa gham bhi toh dekho, main paraa hoo duur Tayba seySukoon aey'ga bas meraa dil-e-muztar Madinay main

Salaam-e-showq kehna haajio meraa bhi ro ro karSunaana dastaney gham meri ro kar Madinay main

Madina is liye Attar jaan-o-diil sey hai pyaaraKey rehtay hain meray Aqa meray diil bar Madinay main

Bigdi Bhi Banain Gaiy

Bigdi Bhi Banain Gaiy
Jalway Bhe Dekhain Gaiy
Ghabrao Na Deewano Sarkar Bulain Gaiy
 
Hum Masjid-e-Nabvi key Dekhy Ge Minaroon Ko
Aur Gumbad-e-Khazran key Purnoor Nazaroon Ko 
Hum Ja Key Madina Phir Wapis Nahi Aay Gaiy
 
Mil Jay Ge Tabirein Eik Rooz To 
khawaboo Ki Gir Jay Gi Dewarein Sab 
Dekhna Rahoo Ki Hum Roza-e-Aqdas Par Jab Ansoo Bahain Gaiy
 
Dil Ishq-e-Nabi mey Tum Kuch Aur Tarapny Doo 
Is Deed Ki Atish Ko Kuch Aur Bharkny Doo 
Hum Tishna Dili Chal Kar Zam-Zam Sey bujhain Gaiy
 
Jab Hashar Key Medan Mey Eik Hashar Bayan Ho Ga 
Jab Fesla Ummat Ka Karny Ko Khuda Ho Ga 
Ummat Ko Shahe Bataha Kamli Mey Chupain Gaiy
 
Lillah Mohammad Sey Rodad Meri kehna
Ye Poch Key Aaqa Sey Ey Hajion Tum Ana 
Ishrat Ko Dare Aqdas Kab aap Bolain Gaiy

Mai Madinay chala


Main madinay chala, mein Madinay chala,Phir karam ho gaya main Madinay chala.


Kaif sa cha gaya main madinay chala,Jhoomta jhoomta main madinay chala.


Mere Aaqa ka darr hoga paish-e-nazar,Chahiye aur kya main Madine chala.


Mere Gande Qadam Aur Unka HaramLaaj Rakhna Khuda Main Maine Chala


Gumbad-e-sabz par jab paray gi nazar,Kya suroor aega main Madinay chala.


Sabz gunbad ka noor zang kar day ga dur,Paye ga dil jila, main Madinay chala.


Ashk thamtay nahi, paon jamtay nahi,Larkharaata hua main madinay chala.


Mere Siddique Umar ho salam aap par,Aur rehmat sadaa main Madinay chala.


Woh uhod ki zammen jis k ander makeen,Mere hamza piya main Madinay chala.


Unka gham chasham-e-tarr aur sauz-e-jigar,Ab tou dai dai Khuda main Madinay chala.


Saaqia mai pila main madinay chala,Mast-o-bekhud bana main Madinay chala.


Ae shajar a hajar tum bhi shams-o-qamar,Daikho daikho zarra main Madinay chala.


Daikh taaray mujhe, yeh nazaray mujhe,Tum bhi daikho zarra main Madinay chala.


Rooh-e-muztar theher tu nikalna udher,Itni jaldi bhi kya main Madinay chala.


Haath uth’tay rahain mujhko daitay rahain,Woh talab se siwa main Madinay chala.


Noor-e-haq k Hazoor apnay saray kasoor,Bakhswanay chala main Madinay chala.


Woh Bakee ki zameen jis k ander makeen,Mere Madani Zia main Madinay chala.


Un k minaar par jab paray gi nazar,Kya saroor aega main Madinay chala.


Minbar-e-noor par jab uthay gi nazar,Kya saroor aega main Madinay chala.


Dard-e-ulfat milay zauq barhnay lagay,Jab chalay qaafila main Madinay chala.


Kya karega idher baandh rakht-e-safar,Chal obaid-e-raza main Madinay chala.


Kya yeh tu ne kaha a Ubaid-e-Raza,Soch tou kuch zarra main Madinay chala.


Main tou bus yoon hi tha main ki aukaat kya,Qaafia yeh mila main Madinay chala.


Lutf tou jab milay mujh se murshid kahain,Chal Obaid-e-Raza main Madinay chala.


Friday 14 February 2014

Sarkar phir Madinay mai Attar aa gaya



Sabz Gumbad ki ziyarat kijiye