Wednesday 26 March 2014

Gunahon ki adat churah meray Mowla

Gunahon ki adat churah meray Mowla,
Mujhay naik insaan bana meray Mowla

Meri saabiqa har khata meray Mowla,
Tu Rehmat sey apni mita meray Mowla

Tu qudrat say apni badal naikyon sey,
Har ik meri laghzish khata meray Mowla

Mujhay naik insaan bana meray Mowla

Jo tujh ko jo Teray Nabi ko pasand hai,
mujhay aisa bandhah bana meray Mowla

Tu Masjood mera mey saajid hu Tera,
Tu Malik mey bandha Tera meray Mowla

Tu Matloob mera mey talib hu Tera,
Mujhay deyday apni wila meray Mowla

Mujhay naik insaan bana meray Mowla

Tu leyga agar adal sey kaam apnay,
Mai hun mustahik naar ka meray Mowla

Tujay waasta Teri Rahmat ka Ya Rabb,
Jahannam sey mujh ko bacha meray Mowla

Jo Rahmat Teri Shah miley haal ho to,
Tikana hey jannat mera meray Mowla

Mujhay naik insaan bana meray Mowla

Na mohtaaj kar tu jahan mey kisi ka,
Mujhay muflisi sey bacha meray Mowla

Hai Ka'bay pay nazray Obaiday Raza ki,
Ho maqbool har ik dua meray Mowla

Meri ta qiyamat jo nasley ho Ya Rabb,
Ho sab Aashiq-e-Mustafah meray Mowla

Mujhay bhi dikhaday tu jalwa Nabi ka
Yahi hai meri iltijah meray Mowla

Jinon ney kaha hai duaon ka mujh sey,
Tu kar dey sabhi ka bhala meray Mowla

Rula tu mujhay bas gham-e-Mustafa mai,
Na duniya keh gham mey rula meray Mowla


0 comments:

Post a Comment