Thursday 27 March 2014

Nabi Ka Jashn Aaya Chaand Taaron Jhoomtay Rehna

Nabi Ka Jashn Aaya Chaand Taaron Jhoomtay Rehna   Nabi Ke Naam Per Ae Naamdaaron Jhoomtay Rehna


Jahaan Mein Noor Leykar Noor Wala Aanay Wala Hai    Meray Hamraah Tum Bhi Dil Ke Taaron Jhoomtay Rehna

Galli Koochay Sajadena Harray Jhanday Lagadena   Taqaaza Ishq Ka Hai Mere Yaaron Jhoomtay Rehna


Nabi-e-Sarwar-e-Konain Ki Aamad Ke Lamhoon Mein    Durood-e-Pak Parhtay Parhtay Saaron Jhoomte Rehna

Musawaat-o-Akhuwat Ka Payaam-e-Dil Nasheen Laaye   Khushi Mein Aey Ghareebon Maaldaaron Jhoomte Rehna


Woh Aaye Gham Qaday Mein Ek Khushi Ki Roshni Phooti    Khuda Ke Shukar Mein Aey Gham Ke Maaron Jhoomte Rehna

Khushi Ik Dil Pe Hai Chaayei Wiladat Ki Ghari Aayei   Arey Aey Gul A’zaro Maah Paaron Jhoomte Rehna


Bujhay Na Ishq-e-Ahmed Ki Agan Qalb-e-Ujagar Se   Dharakna Aur Ae Dil Ke Shararon Jhoomte Rehna

0 comments:

Post a Comment