Wednesday, 18 September 2013

Subha Taibah Me Hui Batta Hain Baada Noor Ka

Subha Taibah Me Hui Batta Hain Baada Noor Ka
Sadqa Lene Noor Ka Aaya Hain Taara Noor Ka

Baaghe Taibah Me Suhana Phool Phoola Noor Ka
Mast Bu Hain Bul Buley Padhti Hain Kalmah Noor Ka

Baarhvi Ke Chaand Ka Mujra Hai Sajdah Noor Ka
Baarah Burjo Se Jhuka Ik Ik Sitara Noor Ka

Aayi Bida'at Chayi Zulmat Rang Badla Noor Ka
Maahe Sunnat Mehre Tala'at Le Le Badla Noor Ka


Main Gada Tu Baadshah Bharde Piyala Noor Ka
Noor Din Duna Tera De Daal Sadqa Noor Ka

Teri Hi Jaanib Hai Paanchi Waqt Sajdah Noor Ka
Rukh Hain Qibla Noor Ka Abru Hai Qa'aba Noor Ka

Kya Bana Naam-E Khuda Asra Ka Dulha Noor Ka,
Sar Pe Sehra Noor Ka Bur Main Shahana Noor Ka

Taaj Waale Dekh Kar Tera Imama Noor Ka
Sar Jhukate Hai Ilahi Bol Baala Noor Ka

Sham'a Dil Mishkaat Tan Seena Zujaja Noor Ka
Teri Surat Ke Liye Aaya Hain Sura Noor Ka

Tere Aage Khaaq Par Jhukta Hai Maatha Noor Ka
Noor Ne Paaya Tere Sajde Se Seema Noor Ka

Tu Hain Saaya Noor Ka Har Azwa Tukda Noor Ka
Saaye Ka Na Saaya Hota Hain Na Saaya Noor Ka

Naariyon Ka Daur Tha Dil Jal Raha Tha Noor Ka
Ay Umar Tumko Dekha Ho Gaya Thanda Kaleja Noor Ka

Teri Nasl-E-Paak Me Hain Bachha Bachha Noor Ka
Tu Hain Aine Noor Tera Sab Gharana Noor Ka

Chaand Jhuk Jaata Jidhar Ungli Utha De Mahd Me
Kya Hi Chalta Tha Isharo Par Khilona Noor Ka

Ay Raza Ye Ahmed E Noori Ka Faize Noor Hain
Ho Gayi Meri Ghazal Badh Kar Qaseedah Noor Ka


0 comments:

Post a Comment