Friday, 20 September 2013

Utha Do Parda Dikha Do Chehra Ke Noore Baari Hijab Me Hai

Utha Do Parda Dikha Do Chehra Ke Noore Baari Hijab Me Hai
Zamana Taarik Ho Raha Hai Ki Mehr Kab Se Nikaab Me Hai

Nahi Wo Meethi Nigaah Waala Khuda Ki Rehmat Hai Jalwa Farma
Ghazab Se Unke Khuda Bachaye Jalaal E Baari Etaab Me Hai

Jali-Jali Bu Se Uski Paida Hai Sozish E Ishqe Chashme-Wala
Kabaabe Aahu Me Bhi Na Paaya Maza Jo Dil Ke Kabaab Me Hai

Unhi Ki Bu Maya E Saman Hai Unhi Ka Jalwa Chaman Chaman Hai
Unhi Se Ghulshan Mehek Rahe Hai Unhi Ki Rangat Ghulab Me Hai

Teri Julu Me Hai Maahe Taibah Hilaal Har Margo Zindagi Ka
Hayaat Jaa(n) Ka Rikab Me Hai Mamaate A'ada Ka Daab Me Hai

Siy(a)h Libasane Daare Duniya Wa Sabz-Poshane Arshe Aala
Har Ik Hai Unke Karam Ka Pyasa Ye Faiz Unki Janaab Me Hai

Wo Ghul Hai Lub-haye Naazuk Unke Hazaaro Jhadte Hai Phool Jinse
Ghulab Ghulshan Me Dekhe Bulbul Ye Dekh Ghulshan Gulaab Me Hai

Jali Hai Soze Jigar Se Jaa(n) Tak Hai Taalib E Jalwa E Mubarak
Dikha Do Wo Lab Ki Aab E Haiwa(n) Ka Lutf Jinke Khitaab Me Hai

Khade Hai Munkar Nakeer Sarr Par Na Koi Haami Na Koi Yaavar
Bata Do Aakar Mere Payamabar Ki Sakht Mushkil Jawab Me Hai

Khuda E Kahhar Hai Ghazab Par Khule Hai Badd-kariyo(n) Ke Daftar
Bacha Lo Aa Kar Shafe'e Mehshar Tumhara Banda Azaab Me Hai

Kareem Aisa Mila Ki Jiske Khule Hai Haath Aur Bhare Khazane
Batao Ay Mufliso Ki Fir Kyu Tumhara Dil Izterab Me Hai

Gunah Ki Tareekiya Ye Chayi Umad Ke Kaali Ghata-e Aayi
Khuda Ke Khursheed Mehr Farma Ki Zarra Bas Ijteraab Me Hai

Kareem Apne Karam Ka Sadqa La-eeme Be Qadr Ko Na Sharma
Tu Aur Raza Se Hisaab Lena Raza Bhi Koi Hisaab Me Hai


0 comments:

Post a Comment