Friday, 20 September 2013

Naat Lyrics in urdu

Aap Aaqa'on k Aaa hai Shah-e-Anaam

Aap ki nisbat ae Nana-e-Hussain

Ab karm Mustafa Farmaiay

Ae kaash ki Aajaye Attar Madinay mai

Ae Kaash Tasaur mai Madinay ki galli ho

Afsoos bahut door hoon Gulzar-e-Nabi se

Aisa Lagta hai ki Madinay Jald wo bulwayain gay

Ata kar do Madinay ki ijazat Ya Rasool Allah

Attar ne darbaar mai daman hai pasara

Bahut ranjeeda wa ghamgeen hai dil Ya Rasool Allah

Bayan kyon kar Sana-e-Mustafa ho

Chamak tukh se paate hai sab paane walay

Dil se meri duniya ki muhabbat nahi jati

Dushman e Ahmed par shiddat kijiye

Gham ho gaye be shumaar

Gunahoon Ki nahi jati hai aadat Ya Rasool Allah

Hai saff ara sab hoor o malk

Hajiyo aao Shahenshah ka Roza dekho

Ho bayan kis se Tumhari Shaan wa Azmat Ya Rasool

Ho jata hai dushman sab zamana Ya Rasool Allah

Hum par nazr-e-karm Tajdaar-e-Haram

Ik baar phir Karm Shah-e-Khair-ul-Anaam ho

Izn-e-Taiba ata kijiye

Jald hum Aazm-e-Gulzaar Madina hongay

Jo Madinay k tasawur mai jiya kartay hai

Kaabay kay Badru-dujja tum pe karoron darood

Karun dam ba dam mai sana-e-Madina

Karun har aan mai teri ita'at Ya Rasool Allah

Lam Yati Nazeeruk fi Nazr

Lutf un ka aam ho jaye ga

Madinay ki tarf phir kab rawana qaafila hoga

Mai sarapa hoon gham Tajdaar-e-Haram

Marhaba aaj chalain gay Shah-e-Abraar ke pass

Mera dil Paak ho Sarkar-e-Duniya ki muhabbat se

Mitha Madina Marhaba

Muhammad Mazhar-e-Kamil Haq Ki Shaan-e-Izzat ka

Mujh ko Aaqa Madinay bulana

Mujhe Madinay ki do ijazat Nabi Rehmat Shafi Ummat

Mustafa Jaan-e-Rehmat pe lakhon salam

Mustafa ka karm ho gaya hai

Mustafa khairul wara ho

Pahunchon Madine kaash! mai is bekhaudui ke saath

Phir Ata kar dijiye haj ki sadat Ya Rasool

Phir Gumabad-e-Khazira ki fazaon mai bulao

Phir Madinay ki ijazat mil Gaye

Phir se bulao Madinay mai Ya Rasool

Qaafil aaj Madinay ko rawana hoga

Sab se oola wa aala hamara Nabi

Sabz Gumbad ki ziyarat kijiye

Sadat ab Madinay ki ata ho

Saray Nabiyoun ka sarwar Madinay mai hai

Sakar phir Madinay mai Attar aa gaya

Shadaid Naza k kaise sahoon ga Ya Rasool Allah

Shajra-e-Qadriya

Subha Taiba mai huwi batta hai baada Noor ka

Sunao hamain bas Madinay ki batain

Tarane Mustafa ke Jhoom Kar Padta huwa nikle

Utha do parda dikha do chehra ki Noor-e-Baari hijaab mai hai

Wah kya jood o karm Shah-e-Batuha tera

Ya Rasool Allah Mujrim Hazir-e-darbaar hai

Ya Mustafa Ata ho ab Izn haaziri ka



Ya Rab meri Taqdeer jaga de

Shadaid Naza k kaise sahoon ga Ya Rasool Allah






Gunahoon se mujhe bacha Ya Illahi




Mai Mecca'y mai phir aa gaya Ya Illahi


Muhabat mai apni tu ghuma Ya Illahi


Ya Illahi ! Magfirat kar bekas o majboor ki


Tu hi Malik bahr o bar hai Ya Allah


Tu Shamme Risalat Hain Aalam Tera Parwana

Tu Shamme Risalat Hain Aalam Tera Parwana
Tu Mahe Nubuvat Hain Ay Jalwa E Janana

Jo Saaqi e Kausar Ke Chehre Se Nikaab Uththe
Har Dil Bane Maikhana Har Aankh Ho Paymana

Dil Apna Chamak Utthe Imaan Ki Tallat Se
Kar Aankhein Bhi Noorani Ay Jalwa E Jaanana

Kyu Zulfe Muambar Se Kooche Na Mahak Uthe
He Panja Qudrat Jab Zulfo Ka Tere Shaana

Tum Aye Chati Baazi Ronak Huwi Phir Taazi
Kaaba Hua Phir Kaaba Kar Daala Tha Butt Khana

Peete Hain Tere Dar Ka, Khate Hain Tere Dar Ka
Pani Hain Tera Pani, Dana Hain Tera Dana

Sarshar Ise Kar De Ik Jaam E Labalab Se
Taa Hashr Rahe Saaqi Aabad Ye Maikhana

Is Darr Ki Huzoori Hi Isyan Ki Dawa Thahri
Hai Zehre Ma Aasi Ka Taibah Hi Shifa Khaana

Har Phool Me Boo Teri Har Sham-A Me Zao Teri
Bulbul Hai Tera Bulbul Parwaana Hai Parwaana

Duniya Mein Hume Tum Ne Jab Apna Banaaya Hai
Mehshar Me Bhi Keh Dena Yeh Hai Mera Deewana

Gir Pad Ke Yaha Pohcha, Mar Mar Ke Ise Paya
Chute Na Ilahi Ab, Sange Dare Jaana Na

Sange Dare Jaana Hain, Thokar Na Lage Kisko
Ay Kash Wo Sun Lete, Mujhse Mera Afsana

Sange Dare Jaana Par, Karta Hu Jabee Sayi
Sajda Na Samajh Najdi, Sar Deta Hu Nazrana

Woh Kehte Na Kehte Kuch Woh Karte Na Karte Kuch
Ay Kash Wo Sunn Lete Mujh Se Mera Afsana

Sarkaar Ke Jalwon Se, Roushan Hain Dile Noori
Ta Hashr Rahe Roshan, Noori Ke Ye Kaash Aana

Utha Do Parda Dikha Do Chehra Ke Noore Baari Hijab Me Hai

Utha Do Parda Dikha Do Chehra Ke Noore Baari Hijab Me Hai
Zamana Taarik Ho Raha Hai Ki Mehr Kab Se Nikaab Me Hai

Nahi Wo Meethi Nigaah Waala Khuda Ki Rehmat Hai Jalwa Farma
Ghazab Se Unke Khuda Bachaye Jalaal E Baari Etaab Me Hai

Jali-Jali Bu Se Uski Paida Hai Sozish E Ishqe Chashme-Wala
Kabaabe Aahu Me Bhi Na Paaya Maza Jo Dil Ke Kabaab Me Hai

Unhi Ki Bu Maya E Saman Hai Unhi Ka Jalwa Chaman Chaman Hai
Unhi Se Ghulshan Mehek Rahe Hai Unhi Ki Rangat Ghulab Me Hai

Teri Julu Me Hai Maahe Taibah Hilaal Har Margo Zindagi Ka
Hayaat Jaa(n) Ka Rikab Me Hai Mamaate A'ada Ka Daab Me Hai

Siy(a)h Libasane Daare Duniya Wa Sabz-Poshane Arshe Aala
Har Ik Hai Unke Karam Ka Pyasa Ye Faiz Unki Janaab Me Hai

Wo Ghul Hai Lub-haye Naazuk Unke Hazaaro Jhadte Hai Phool Jinse
Ghulab Ghulshan Me Dekhe Bulbul Ye Dekh Ghulshan Gulaab Me Hai

Jali Hai Soze Jigar Se Jaa(n) Tak Hai Taalib E Jalwa E Mubarak
Dikha Do Wo Lab Ki Aab E Haiwa(n) Ka Lutf Jinke Khitaab Me Hai

Khade Hai Munkar Nakeer Sarr Par Na Koi Haami Na Koi Yaavar
Bata Do Aakar Mere Payamabar Ki Sakht Mushkil Jawab Me Hai

Khuda E Kahhar Hai Ghazab Par Khule Hai Badd-kariyo(n) Ke Daftar
Bacha Lo Aa Kar Shafe'e Mehshar Tumhara Banda Azaab Me Hai

Kareem Aisa Mila Ki Jiske Khule Hai Haath Aur Bhare Khazane
Batao Ay Mufliso Ki Fir Kyu Tumhara Dil Izterab Me Hai

Gunah Ki Tareekiya Ye Chayi Umad Ke Kaali Ghata-e Aayi
Khuda Ke Khursheed Mehr Farma Ki Zarra Bas Ijteraab Me Hai

Kareem Apne Karam Ka Sadqa La-eeme Be Qadr Ko Na Sharma
Tu Aur Raza Se Hisaab Lena Raza Bhi Koi Hisaab Me Hai


Sab se aola wa aala hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم

Sab se aola wa aala hamara Nabi  صلی اللہ علیہ وسلم
Sab se baala wa waala hamara Nabi

Apne Moula ka pyara hamara Nabi
Dono aalam ka Dulha ha hamara Nabi

Bazme Aakhir ka Shama faroza huwa
Noore awwal ka jalwa hamara Nabi

Buj gayi jis ke aage sabhi mash’ale
Shamma woh lekeh aaya hamara Nabi

Jis ke talwon ka dhowan he aabe Hayaat
Hai woh jaane Maseeha hamara Nabi

Khalq se Awliya Awliya se Rusul
Aur Rasoolon se aala hamara Nabi

Jaise sab ka Khuda ek he waise hi
In ka un ka thumhara hamara Nabi

Kawn deta he dene ko muh chahiye
Dene waala he sacha hamara Nabi

Kya khabar kitne taare khile chhup gaye
Par na doobe na dooba hamara Nabi

Saare ooncho meh ooncha samajhye jise
Hai oos oonche se ooncha hamara Nabi

Ghum zadoh ko Raza muzda dije ke hai
Be kason ka sahara hamara Nabi  صلی اللہ علیہ وسلم


Fida kr Ishq-e-Nabi par jaan

Fida kr Ishq-e-Nabi par jaan
muqammal karle tu Iman zamana yaad karega
Fida kr Ishq-e-Nabi par jaan
muqammal karle tu Iman zamana yaad karega

Jab yaad Nabi ki aati hai  ik kaif sa aalam hota hai
jab zikre Nabi chhid jata hai ik wajd ka mosam hota hai
Yahi to kahta hai Qur'an k Aaqa hai jaan-e-Iman
zamana yaad karega  zamana yaad karega


Sarkar se tu hai door magar Sarkar to tujh se door nahi
kyu khoya khoya rehta hai Mukhtar hai tu majboor nahi
Nabi ko pahle dil se maan, Nabi par sab kuch kar Qurbaan
zamana yaad karega zamana yaad karega


Aslaf ki hai taarikh yahi  sahil pe jala di hai kashtee
daudaye hain ghode dariya par kya Ishq-e-Nabi ki masti thi
Tumhi ho wo Mard-e-Maidan zara dhundo apni pahchan
zamana yaad karega   zamana yaad karega 


Sarkar ke Jalwo se raushan Iman-o-Amal ki duniya hai 
Sarkar ke deewano ki sada taqleed Zamana krta hai 
Nabi ka dekh zara faizaan Ki taza ho jaye Iman 
zamana yaad karega zamana yaad karega 


Darbare wilayat kya kehna  jab unka ishara milta hai 
baarah barso ki doobi kashti ko ik pal me kinara milta hai 
Asad ye Ghaus ka hai faizan  hai jis se Fikr-o-nazar hairan 
zamana yaad karega zamana yaad karega 


Jo baat thi Aa'la Hazrat ki wo aaj kisi Molwi me nahi 
Wo Ishq-e-Nabi ke Paikar the, tharrate the unse Dushman bhi 
diya humko Kanzul Iman ye hai hum par unka ehsaan 
zamana yaad karega zamana yaad karega 


Ay saba Mustafa se keh dena gham ke maare salam kehte hein

Ay saba Mustafa se keh dena gham ke maare salam kehte hein,
Yaad karta hein tum ko sham-o-sahar, dil hamare salam kehte hein,


Allah Allah Huzur ki baatein, marhaba Rung-o-Noor ki baatein,
Chand jinki balaye leta hai, aur taare salam kehte hein,


Jab Muhammad ka naam aata he, rahmaton ka payaam aata he,
Lab hamare Durood parte hein, dil hamare salam kehte hein,


Allah Allah Huzur ki ghesu, bheeni bheeni mahekti woh khushbu,
Jin se maamur he fiza he so, wo nazaare salam kehte hein,


Zaire Taiba tu Madine mein, pyaare Aaqa se itna kehdena,
Aap ki gard-e-raah ko Aaqa, be-sahare salam kehte hein,


Zikr tha aakhiri mahine ka, tazkira chid gaya Madine ka,
Haajiyo Mustafa se kehdena gham ke maare salam kehte hein,


Bigri Bhe Banain Ge Jalwy Bhe Dekhain Gaiy

Bigdi Bhe Banain Ge Jalwy Bhe Dekhain Gaiy
Ghabrao Na Deewano Sarkar Bulain Gaiy

Hum masjid e Nabvi key Dekhy Ge Minaroon Ko
Aur gumbad E Khazra key Purnoor nazaroon Ko
Hum Ja Key Madina Phir Wapis Nahi Aayain gaiy


Mil Jay Ge Tabirein Eik Rooz To khaboo Ki
Gir Jay Gein Dewarein Sab Dekhna Rahoo Ki
Hum Roza e Aqdas Par Jab Ansoo Bahain Gaiy


Dil Ishq E Nabi mey Tum Kuch Aur Tadapnay Do
Is Deed Ki Atish Ko Kuch Aur Bhadkny Doo
Hum Tishna Dily Chal Kar Zam Zam Sey Bujhay Gaiy


Jab Hashar Key Medan Mey ik Hashar Bapaa Ho Ga
Jab Faisla Ummat Ka Karnay Ko Khuda Ho Ga
Ummat Ko Shah e bataha Kamli Mey Chupain gaiy


Lillah Mohammad Sey Rodaad Meri kehna
Ye Poch Key Aaqa Sey Ey Hajion Tum Ana
Ishrat Ko Dare Aqdas Kab aap Bulain Gaiy


Aaqa Ka Milad Aaya

Ya RasoolAllah Ya HabibAllah
Salla Alaika Ya RasoolAllah

Wassallam Alaika Ya HabibAllah
Ahlaon Wa Sahlan Marhaba Ya RasoolAllah

Charoon Taraf Noor Chahya Aaqa Ka Milad Aaya
Khushiyon Ka Pegham Laya Aaqa Ka Milad Aaya

Shams-O-Qamar Aur Taaray Kyun Na Ho Khush Aaj Saaray
Unse Hee Tou Noor Paaya Aaqa Ka Milad Aaya

Khushiyan Manatay Hain Wohi Dhoomein Machatay Hain Wohi
Jinn Per Hua Unka Saaya Aaqa Ka Milad Aaya

Hai Shaad Har Ek Musalmaan Karta Hai Ghar Ghar Charaghaan
Galiyun Ko Bhi Jagmagaya Aaqa Ka Milad Aaya

Mukhtar-e-Kul Maanay Jou Unhe Noori Bashar Jaanay Jou Unhe
Na’ara Ussi Ne Lagaya Aaqa Ka Milad Aaya

Jou Aaj Mehfil Mein Aaye Mun Ki Muradein Woh Paaye
Sab Par Karam Ho Khudaya Aaqa Ka Milad Aaya

Ghous Ul Wara Aur Data Ne Mere Raza Aur Khuwaja Ne
Sab Ne Hee Din Ye Manaya Aaqa Ka Milad Aaya

Na’at-e-Nabi Tum Sunao Ishq-e-Nabi Ko Barhao
Hum Ko Raza Ne Sikhaya Aaqa Ka Milad Aaya

Jiss Ko Shajar Jaantay Hain Kehna Hajar Maantay Hain
Aisa Nabi Hum Ne Paaya Aaqa Ka Milad Aaya

Dil Jagmaganay Lagay Hain Sab Muskaranay Lagay Hain
Ik Kaif Sa Aaj Chahya Aaqa Ka Milad Aaya

Kar Ae Ubaid Unki Midhat Tujh Per Khuda Ki Ho Rehmat

Tu Ne Muqqadar Ye Paaya Aaqa Ka Milad Aaya

Naat lyrics in English



Bari umeed hai Sarkar qadmon mein bulayenge

Bigri Bhe Banain Ge Jalwy Bhe Dekhain Gaiy

Bulalo phir mujhe ae Shah-e-Bahro-Bar

Chamak Tujhse Paate Hain Sab Paane Waale

Chamka mah e noor ka Hilal merhaba.

Faslon ko takalluf hai hum se agar

Fida kr Ishq-e-Nabi par jaan

Ghum Ho Gaye Beshumar Aaqa

Gunahon ki adat churah meray Moula

Haajiyo aao Shahenshah ka Roza dekho

Habib-e-Khuda ka nazara karun mai

Humko bulana Ya Rasool Allah

Ilahi madad kar, madad ki ghari hai,

Ishq Ke Rang Me Rang Jao Mere Yaar

Kaliyaan zulfaa wala dukhi dillan daa sahaara

Kankar se kalma padhwao phir kehna hum

Khusravi achhi lagi na sarwari achhi

Kyun kar na mere dil main ho ulfat

Likh Raha Hoon Naat-e-Sarwar Sabz Gumbad Dekh Kar

Lutf Unka Aam Ho Hi Jayega

Madinay ke Waali do aalam ke Daata

Main Madeenay chala

Main nazar karun jaan-o-jivaro kesa

Main so jaoo Ya Mustafa kehtey kehtey

Main to khud Unke dar ka gada hoon


Main to khud Unke dar ka gada hoon,
Apne AQA ko main nazr kya doon

Ab to aankhon mein bhi kuchh nahin hai,
Varna qadmon mein aankhein bichha dooon

Aane waali hai unki tareeq,
Phool naaton ke ghar ghar saja doon,

Mere ghar mein andhera bohot hai,
Apni palkon pe shamme jala doon

Rauza-e-pak peshe nazar hai,
Saamne mere AQA ka dar hai,

Mujhko kya kuchh nazar aa raha hai,
Tumko lafzon mein kaise bata doon

Mere aansu bahut kheemti hain,
Inse waabasta hai unki yaadein,

Inki manzil hai khak-e-madeena,
Ye gauhar yun hi kaise luta doon

Main faqat Aap ko jaanta hoon,
Aur usi dar ko pehchanta hoon,

Is andhere mein kisko pukaroon,
Aap farma’aein kisko sada doon

Qaafilay jaa rahe hain Madeene,
Aur hasrat se main tak raha hoon,

Ya lipat jaoon qadmon se unke,
Ya qaza ko main apni sada doon

Meri bakhshish ka saamaan yahi hai,
Aur dil ka bhi armaan yahi hai,

Ek din Unki khidmat mein jaakar,
Unki naatein unhi ko suna doon

Mujhko Iqbal nisbat hai unse,
Jinka har lafz jaan-e-sukhan hai,

Main jahaan naat apni suna doon,
Saari mehfil ki mehfil jaga doon


Wednesday, 18 September 2013

Subha Taibah Me Hui Batta Hain Baada Noor Ka

Subha Taibah Me Hui Batta Hain Baada Noor Ka
Sadqa Lene Noor Ka Aaya Hain Taara Noor Ka

Baaghe Taibah Me Suhana Phool Phoola Noor Ka
Mast Bu Hain Bul Buley Padhti Hain Kalmah Noor Ka

Baarhvi Ke Chaand Ka Mujra Hai Sajdah Noor Ka
Baarah Burjo Se Jhuka Ik Ik Sitara Noor Ka

Aayi Bida'at Chayi Zulmat Rang Badla Noor Ka
Maahe Sunnat Mehre Tala'at Le Le Badla Noor Ka


Main Gada Tu Baadshah Bharde Piyala Noor Ka
Noor Din Duna Tera De Daal Sadqa Noor Ka

Teri Hi Jaanib Hai Paanchi Waqt Sajdah Noor Ka
Rukh Hain Qibla Noor Ka Abru Hai Qa'aba Noor Ka

Kya Bana Naam-E Khuda Asra Ka Dulha Noor Ka,
Sar Pe Sehra Noor Ka Bur Main Shahana Noor Ka

Taaj Waale Dekh Kar Tera Imama Noor Ka
Sar Jhukate Hai Ilahi Bol Baala Noor Ka

Sham'a Dil Mishkaat Tan Seena Zujaja Noor Ka
Teri Surat Ke Liye Aaya Hain Sura Noor Ka

Tere Aage Khaaq Par Jhukta Hai Maatha Noor Ka
Noor Ne Paaya Tere Sajde Se Seema Noor Ka

Tu Hain Saaya Noor Ka Har Azwa Tukda Noor Ka
Saaye Ka Na Saaya Hota Hain Na Saaya Noor Ka

Naariyon Ka Daur Tha Dil Jal Raha Tha Noor Ka
Ay Umar Tumko Dekha Ho Gaya Thanda Kaleja Noor Ka

Teri Nasl-E-Paak Me Hain Bachha Bachha Noor Ka
Tu Hain Aine Noor Tera Sab Gharana Noor Ka

Chaand Jhuk Jaata Jidhar Ungli Utha De Mahd Me
Kya Hi Chalta Tha Isharo Par Khilona Noor Ka

Ay Raza Ye Ahmed E Noori Ka Faize Noor Hain
Ho Gayi Meri Ghazal Badh Kar Qaseedah Noor Ka


Wednesday, 11 September 2013

Mustafa Jaan E Rehmat Pe Laakhon Salaam

Mustafa Jaan E Rehmat Pe Laakhon Salaam
Shamme Bazme Hidayat Pe Laakhon Salaam

Mehre Charkhe Nubuvvat Pe Roushan Durood
Ghul E Baagh E Risaalat Pe Laakhon Salaam

Shehre Yaare Iram Tajdaare Haram
Nau Bahaar E Shafa'at Pe Laakhon Salaam

Shab E Asra Ke Dulha Pe Da-im Durood
Nausha E Bazme Jannat Pe laakhon Salaam

Arsh Ki Zebo Zeenat Pe Arshi Durood
Farsh Ki Teebo Nuzhat Pe laakhon Salaam

Noor E Ain E Latafat Pe Alt(a)f Durood
Jaibo Jaine Najafat Pe Laakhon Salaam

Sarve Naaz E Kidam Maghze Raaze Hikam
Yakka Taaze Fazilat Pe Laakhon Salaam

Nukta E Sirre Wahdat Pe Yakta Durood
Markaze Daure Kasrat Pe Laakhon Salaam

Sahibe Raj'ate Shamso Saqqul Qamar
Naib E Daste Qudrat Pe Laakhon Salaam

Jiske Zere Liwa Adamo Man Siva
Uss Sada E Siyadat Pe Laakhon Salaam

Arsh Ya Farsh Hai Jiske Zere Nageen
Uski Qaahir Riyasat Pe Laakhon Salaam

Asle Har Buudo Bahbood Takhme Wajood
Qasim E Kanze Ne'amat Pe Laakhon Salaam

Fathe Baab E Nubuvvat Pe Behad Durood
Khatme Daur E Risalat Pe Laakhon Salaam

Sharke Anwaare Qudrat Pe Noori Durood
Fat-he Az Haare Qurbat Pe Laakhon Salaam

Be-Saheemo Q(a)simo Adeelo Maseel
Jouhar E Farde Izzat Pe Laakhon Salaam

Sirre Ghaib E Hidayat Pe Ghaibi Durood
Itre Jaibe Nihayat Pe Laakhon Salaam

Maahe Lahoote Khilwat Pe Laakhon Durood
Shahe Naasoot E Jalwat Pe Laakhon Salaam

Kanze Har Bekaso Benawa Par Durood
Harze Har Rafta Taaqat Pe Laakhon Salaam

Partave Isme Zaate Ahad Par Durood
Nuskha E Jaameiyyat Pe Laakhon Salaam

Mat-La'e Har Sa'adat Pe As'ad Durood
Maqtae Har Siyadat Pe Laakhon Salaam

Khalq Ke Dadras Sabke Fariyad Ras
Kahfe Roze Musibat Pe Laakhon Salaam

Mujhse Bekas Ki Daulat Pe Laakhon Durood
Mujhse Bebas Ki Quvvat Pe Laakhon Salaam

Shamme Bazme D(a)na Hu Mai Gum Kun Ana
Shar-He Matne Huviyyat Pe Laakhon Salaam

Intiha E Daayi Ibtida E Yakee
Jam'a Tafreeqo Kasrat Pe Laakhon Salaam

Kasrat E Baad E Qillat Pe Aksar Durood
Izzate Baade Zillat Pe Laakhon Salaam

Rabb E Aala Ki Ne'amat Pe Aala Durood
Haq Ta'ala Ki Minnat Pe Laakhon Salaam

Hum Ghareebo Ke Aaqa Pe Behad Durood
Hum Faqeeri Ki Sarwat Pe Laakhon Salaam

Farhate Jaane Mo'min Pe Behad Durood
Ghaize Qalbe Jalalat Pe Laakhon Salaam

Sab-Be Har Sabb Muntaha E Talab
Illate Julmo Illat Pe Laakhon Salaam

Masdar E Mujhariyyat Pe Azhar Durood
Mazhar E Masdariyyat Pe Laakhon Salaam

Jiske Jalwe Se Murjhayi Kaliyan Khili
Uss Ghul E Paak Mimbat Pe Laakhon Salaam

Qadde Be-Saaya Ke Saya E Marhamat
Jille Mamdud E Raafat Pe Laakhon Salaam

Tairan E Quds Jiski Hai Kumriyan
Us Sahi Sarve Kaamat Pe Laakhon Salaam

Wasf Jiska Hai Aayina E Haqnuma
Us Khuda Saaz Tal'at Pe Laakhon Salaam

Jiske Aage Sare Sarwara Kham Rahe
Uss Sare Taaje Rif'at Pe Laakhon Salaam

Wo Karam Ki Ghata Ghesu E Mushk Sa
Lakka E Abre Raafat Pe Laakhon Salaam

Lailatul Qadr Me Matlail Fajre Haq
Maang Ki Istiqamat Pe Laakhon Salaam

Lakht Lakhte Dile Har Jigar Chaak Se
Shaana Karne Ki Haalat Pe Laakhon Salaam

Duur O Nazdeek Ke Sunne Waale Wo Kaan
Kaan E La'le Karamat Pe Laakhon Salaam

Chashma E Mehr Me Mouje Noor E Jalaal
Us Raghe Hashemiyyat Pe Laakhon Salaam

Jiske Mathe Shafa'at Ka Sehra Raha
Us Jabeen E Sa'adat Pe Laakhon Salaam

Jinke Sajde Ko Mehraab E Kaaba Jhuki
Unn Bhavon Ki Latafat Pe Laakhon Salaam

Unki Aankhon Pe Wo Saaya Afghan Miza
Zilla E Qasr E Rahmat Pe Laakhon Salaam

Ashq Baari E Mizgan Pe Barse Durood
Silke Durre Shafa'at Pe Laakhon Salaam

Ma'ana E Qad Ra-aa Maqsad E Maa Tagaa
Nargis E Baaghe Qudrat Pe Laakhon Salaam

Jiss Taraf Uth Gayi Dam Me Dam Aa Gaya
Us Nigah E Inayat Pe Laakhon Salaam

Nichee Aankhon Ki Sharmo Haya Par Durood
Unchi Beene Ki Rifa’at Pe Laakhon Salaam

Jinke Aage Charage Qamar Jhilmilay
Un Azaaro Ki Tal’at Pe Laakhon Salaam

Unke Khad Ki Suhulat Pe Behad Durood
Unke Qad Ki Rishaqat Pe Laakhon Salaam

Jis Se Tareek Dil Jagmagane Lage
Us Chamak Waali Rangat Pe Laakhon Salaam

Chaand Se Muh Pe Taaba Darkhsha Durood
Namak Aagi Sabahat Pe Laakhon Salaam

Shabnam E Baagh E Haq Yani Rukh Ka Araq
Uski Sachhi Baraakat Pe Laakhon Salaam

Khat Ki Girde Dahan Wo Dilara Faban
Sabz E Nahre Rehmat Pe Laakhon Salaam

Rishe Khus Mu’atadil Marham E Reshe Dil
Hala E Mah E Nudrat Pe Laakhon Salaam

Patli Patli Ghul E Quds Ki Pattiya
Un Labon Ki Nazakat Pe Laakhon Salaam

Wo Dahan Jiski Har Baat Wahee E Khuda
Chashma E Ilmo Hiqmat Pe Laakhon Salaam

Jiske Paani Se Shadaab Jaan O Jinaa
Uss Dahan Ki Taravat Pe Laakhon Salaam

Jis Se Khari Kuve Shira E Jaan Bane
Us Julale Halavat Pe Laakhon Salaam

Wo Jabaan Jisko Sab Kun Ki Kunji Kahe
Uski Naafiz Huqumat Pe Laakhon Salaam

Uski Pyari Fasahat Pe Behad Durood
Sakee Dilkash Balaghat Pe Laakhon Salaam

Uski Baaton Ki Lazzat Pe Laakhon Durood
Uske Khutbe Ki Haibat Pe Laakhon Salaam

Woh Dua Jiska Joban Bahaar E Qubool
Us Naseem E Ijabat Pe Laakhon Salaam

Jinke Guchche Se Lachche Jhade Noor Ke
Un Sitaro Ki Nuzhat Pe Laakhon Salaam

Jiski Taskeen Se Rote Hue Has Pade
Us Tabassum Ki A'adat Pe Laakhon Salaam

Jis Me Nahre Hai Shiro Shakar Ki Rawan
Us Gale Ki Nazarat Pe Laakhon Salaam

Dosh Bar Dosh Hai Jin Ke Shaane Sharaf
Aise Shaano Ki Shauqat Pe Laakhon Salaam

Hajre Aswad Ka'aba E Jaan O Dil
Yaani Mehre Nubuvvat Pe Laakhon Salaam

Ru-e Aaina E Ilme Pushte Huzoor
Pushti E Qasr E Millat Pe Laakhon Salaam

Haath Jis Samt Utha Ghanee Kar Diya
Mouje Behre Sama'at Pe Laakhon Salaam

Jisko Baare Do Aalam Ki Parwah Nahi
Aise Bazoo Ki Quvvat Pe Laakhon Salaam

Ka'aba E Deen O Imaan Ke Dono Sutoon
Sayyedaine Risalat Pe Laakhon Salaam

Jiske Har Khat Main Hai Mouje Noor E Karam
Us Kafe Bahre Himmat Pe Laakhon Salaam

Noor Ke Chashme Lehraye Dariya Bahee
Ungliyon Ki Karamat Pe Laakhon Salaam

Eid E Mushkil Kusha E Ke Chamke Hilaal
Nakhoono Ki Basharat Pe Laakhon Salaam

Raf'a E Zikre Jalalat Pe Arfa'a Durood
Sharhe Sadre Sadarat Pe Laakhon Salaam

Dil Samajh Se Waraa Hai Magar Yu Kahu
Guncha E Raaze Wahdat Pe Laakhon Salaam

Kul Jahaan Milk Aur Jou Ki Roti Ghiza
Uss Shikam Ki Kana'at Pe Laakhon Salaam

Jo Ki Azme Shafa'at Pe Khinch Kar Bandhi
Us Qamar Ki Himayat Pe Laakhon Salaam

Ambiya Tah Kare Jaanu Unke Huzoor
Jaanuo Ki Wajahat Pe Laakhon Salaam

Saake Asl E Qidam ShaakhE Nakhle Karam
Sham'e Raah E Isabat Pe Laakhon Salaam

Khayi Quraan Ne Khaaqe Guzar Ki Qasam
Us Kafe Paa Ki Hur mat Pe Laakhon Salaam

Jis Suhani Ghadi Chamka Taibah Ka Chaand
Us Dil Afroz Sa'at Pe Laakhon Salaam

Pehle Sajde Pe Rouze Ajal Se Durood
Yaadgari E Ummat Pe Laakhon Salaam

Zar'e Shadab E Har Zar'e Pur Sheer Se
Barkaate Reja'at Pe Laakhon Salaam

Bhaiyo Ke Liye Tark Pistan Kare
Doodh Peeto Ki Nisfat Pe Laakhon Salaam

Mahde Waala Ki Qismat Pe Behad Durood
Burje Maah E Risalat Pe Laakhon Salaam

ALLAH ALLAH Wo Bachpane Ki Phaban
Us Khuda Bhaati Surat Pe Laakhon Salaam

Uth-Te BuTo Ki Nashwo Numa Par Durood
Khilte Guncho Ki Nikhat Pe Laakhon Salaam

Fazl E Paidaishi Par Hamesha Durood
Khelne Se Karahat Pe Laakhon Salaam

A'etela E Jabillat Pe Aala Durood
A'etedal E Tivayat Pe Laakhon Salaam

Be Banavat Adaa Par Hazaro Durood
Be Takalluf Malahat Pe Laakhon Salaam

Bhini Bhini Mahak Par Mahakti Durood
Pyari Pyari Nafasat Pe Laakhon Salaam

Meethi Meethi Ibarat Pe Shireen Durood
Achhi Achhi Isharat Pe Laakhon Salaam

Seedhi Seedhi Ravish Par Karoron Durood
Saadi Saadi Tabi'at Pe Laakhon Salaam

Roze Garmo Shabe Teera Wo Taar Me
Koho Sahra Ki Khalvat Pe Laakhon Salaam

Jiske Ghere Me Hai Ambiya O Malak
Us Jahangeer E Ba'sat Pe Laakhon Salaam

Andhe Sheeshe Jhalajhal Damakne Lage
Jalwa Rezi E Daawat Pe Laakhon Salaam

Lutf E Bedari E Shab Pe Behad Durood
Aalam E Khwab E Rahat Pe Laakhon Salaam

Kh(a)nda-e Subho Ishrat Pe Noori Durood
Giry(a) E Abre Rehmat Pe Laakhon Salaam

Nirmi E Khu E Leenat Pe Daim Durood
Garmi E Shaane Satavat Pe Laakhon Salaam

Jiske Aage Khinchi Gardane Jhuk Gayi
Us Khuda Dad Shoukat Pe Laakhon Salaam

Kisko Dekha Ye Moosa Se Pooche Koyi
Aankh Waalo Ki Himmat Pe Laakhon Salaam

Girde Mah Daste Anjum Me Rakhshan Hilaal
Badr Ki Daf'e Zulmat Pe Laakhon Salaam

Shore Takbeer Se Thar-Tharati Zameen
Zumbishe Joushe Nusrat Pe Laakhon Salaam

Na'araha E Dileran Se Ban Gunjte
Gurrashe Kose Jur-at Pe Laakhon Salaam

Woh Chaka Chaak Khanjar Se Aati Sadaa
Mustafa Teri Soulat Pe Laakhon Salaam

Unke Aage Wo Hamza Ki Jaan-Baaziyan
Shere Gurrane Satvat Pe Laakhon Salaam

Al Gharaz Unke Har mu Pe Laakhon Durood
Unki Har Khu Wa Khaslat Pe Laakhon Salaam

Unke Har Naam O Nisbat Pe Naami Durood
Unke Har Waqt O Haalat Pe Laakhon Salaam

Unke Maula Ki Un Par Karoron Durood
Unke As-habo Itrat Pe Laakhon Salaam

Paar-Haye Suhuf Ghuncha E Qudus
Ahle Bait E Nubuvvat Pe Laakhon Salaam

Aab E Tathir Se Jis Me Paude Jame
Uss Riyaze Najaabat Pe Laakhon Salaam

Khuun E Khairur Rusul Se Hai Jinka Khameer
Unki Be Lous Tinat Pe Laakhon Salaam

Uss Batul E Jigar Para E Mustafa
Haj-La Aara E Iffat Pe Laakhon Salaam

Jiska Aanchal Na Dekha Maho Meher Ne
Uss Rida E Nazahat Pe Laakhon Salaam

Sayyeda Zahira Tayyeba Tahira
Jaan E Ahmad Ki Raahat Pe Laakhon Salaam

Hasne Mujtaba Sayyedul Askhiyan
Raakib E Doshe Izzat Pe Laakhon Salaam

Ouj E Mehre Huda Mouje Bahre Nida
Ruh E Rouhe Sakhavat Pe Laakhon Salaam

Shahad Khware Lu-aab E Zabaan E Nabi
Chaashni Geer Ismat Pe Laakhon Salaam

Uss Shaheed E Balaa Shahe Ghulghu Kabaa
Bekase Dashte Gurbat Pe Laakhon Salaam

Durre Durje Najaf Mehre Burje Sharaf
Range Ru E Shahadat Pe Laakhon Salaam

Ahle Islaam Ki Maadarane Shafeeq
Baanuvane Tahaarat Pe Laakhon Salaam

Jalw(a)-Giyyane Baitush-Sharaf Par Durood
Pard Giyyane Iffat Pe Laakhon Salaam

Siyyema Pahli Maa Kah-Fe Amno Amaan
Haq Gujare Rifaqat Pe Laakhon Salaam

Arsh Se Jispe Tasleem Naazil Hui
Us Saraa E Salamat Pe Laakhon Salaam

Manzillum Min Kasab La Nasab La Sakhab
Aise Koshak Ki Zeenat Pe Laakhon Salaam

Binte Siddeeq Araam E Jaan E Nabi
Us Hareem E Bara-at Pe Laakhon Salaam

Yaani Hai Sura E Noor Jinki Gawah
Unki PurNoor Surat Pe Laakhon Salaam

Jinme Ruhul Qudus Be-Ijazat Na Jaaye
Un Suradiq Ki Ismat Pe Laakhon Salaam

Sahm'e Taabaane Kaashaana E Ijtehaad
Mufti E Chaar Millat Pe Laakhon Salaam

Jaan-Nisaran E Badro Uhad Par Durood
Haq Guzaaran E Bai'at Pe Laakhon Salaam

Wo Daso Jinko Jannat Ka Muzda Mila
Uss Mubarak Jama'at Pe Laakhon Salaam

Khaas Uss Saabik E Saire Kurbe Khuda
Ouhad E Kamiliyat Pe Laakhon Salaam

Sai-E Mustafa Mai-E Istafa
Izzo Naaze Khilafat Pe Laakhon Salaam

Asdaqus-Sadeqi Sayyedul Muttaqi
Chashmo Goshe Vejarat Pe Laakhon Salaam

Woh Umar Jis Ke Aada Pe Shaida Sakar
Uss Khuda Dost Hazrat Pe Laakhon Salaam

Fareeqe Haqqo Baatil Imamul Huda
Taighe Maslule Shiddat Pe Laakhon Salaam

Tarjumaan E Nabi Ham-Zabaan E Nabi
Jaan E Shaan E Adaalat Pe Laakhon Salaam

Jaahid E Masjid E Ahmadi Par Durood
Ddoulat E Jaishe Usrat Pe Laakhon Salaam

Durre Mansoor Quraan Ki Silke Bahee
Zouje Do Noor E Iffat Pe Laakhon Salaam

Yaani Usmaan Saahab Kamees E Huda
Hulla Pushe Shahadat Pe Laakhon Salaam

Murtaza Shere Haq Ashja-Ul Ashja-e
Saaqi E Sheero Sharbat Pe Laakhon Salaam

Asl E Nasl E Safaa Wajhe Wasle Khuda
Baab E Fasle Wilayat Pe Laakhon Salaam

Awwali Dafa E Ahle Rifzo Khuruj
Chaar Mi Rukne Millat Pe Laakhon Salaam

Shere Shamsheer-J(a)n Shahe Khaibar-Shikan
Parvat E Dost Qudrat Pe Laakhon Salaam

Maahi E Rifzo Tafzeel O Nasb O Khurooj
Haami E Deen O Sunnat Pe Laakhon Salaam

Momeni Peshe Fat-ho Pase Fat-h Sab
Ahle Khairo Adaalat Pe Laakhon Salaam

Jis Musalmaan Ne Dekha Unhe Ik Nazar
Uss Nazar Ki Basaarat Pe Laakhon Salaam

Jinke Dushman Pe Laanat Hai ALLAH Ki
Un Sab Ahle Muhabbat Pe Laakhon Salaam

Baaqi E Saakiyaan E Sharaab E Tahur
Zain E Ahle Ibadat Pe Laakhon Salaam

Aur Jitne Hai Shehzade Uss Shah Ke
Un Sab Ahle Makaanat Pe Laakhon Salaam

Unki Baala Sharafat Pe Aala Durood
Unki Waala Siyadat Pe Laakhon Salaam

Shafa'e Maaliki Ahmad Imam E Haneef
Chaar Baagh E Imamat Pe Laakhon Salaam

Kaamilan E Tareeqat Pe Kaamil Durood
Haamilan E Shariat Pe Laakhon Salaam

Ghouse Aazam Ima Muttuka Wannuka
Jalwa E Shaan E Qudrat Pe Laakhon Salaam

Kutbe Abdaalo Irshaad O Rushdurshaad
Muh-yi-e Deen O Millat Pe Laakhon Salaam

Mard E Khaile Tareeqar Pe Behad Durood
Farde Ahle Haqeeqat Pe Laakhon Salaam

Jiski Mimbar Bani Gardan E Awliyah
Uss Qadam Ki Karamat Pe Laakhon Salaam

Shah E Barkaato Barkaate Peshiniyan
Nou Bahar E Tareeqat Pe Laakhon Salaam

Sayyid Aale Muhammad Imamur Rashheed
Ghul E Rouze Riyazat Pe Laakhon Salaam

Hazrat E Hamza Shere Khuda Wa Rasool
Zeenat E Qaadriyat Pe Laakhon Salaam

Naam O Kaam O Tano Jaan O Haal O Makaal
Sabme Achhe Ki Surat Pe Laakhon Salaam

Noor-Jaan Itre-Majmu'a Aale Rasool
Mere Aaqa E Ne'amat Pe Laakhon Salaam

Zaibe Sajjada Sajjade Noori Nihaad
Ahmad E Noor Teenat Pe Laakhon Salaam

Be Azaabo Aetaabo Hisaabo Kitaab
Ta Abad Ahle Sunnat Pe Laakhon Salaam

Tere Un Dosto Ke Tufaile Khuda
Banda-E Nange Khilqat Pe Laakhon Salaam

Mere Ustaad Maa-Baap Bhai Behen
Ahle Wuldo Ashirat Pe Laakhon Salaam

Ek Mera Hi Rehmat Me D'awa Nahi
Shah Ki Saari Ummat Pe Laakhon Salaam

Kaash Mehshar Me Jab Unki Aamad Ho Aur
Bheje Sab Unki Shouqat Pe Laakhon Salaam

Mujhse Khidmat Ke Qudsi Kahe Haa Raza
Mustafa Jaan E Rehmat Pe Laakhon Salaam