Friday 7 February 2014

Chamka mah e noor ka Hilal merhaba.

Bekaso se hai jinhe pyar wohi aaye hai
Dono alam ke hai gamkhwar wohi aaye hai.

Ya Rasoolallah صلی اللہ علیہ وسلم Marhaba Marhaba
Ya Habiballah صلی اللہ علیہ وسلم Marhaba Marhaba

Ek nazar asman pe daal merhaba,
Chamka mah e noor ka Hilal merhaba.

Jande lagao, galiya sajao
Karlo charaga, ghar jagmagao
Razi hoga Rabb-e-Zuljalal. Merhaba

Mehfil sajao naate sunao
Aaqa ki amad ki dhoome machao
Rozo shab yahi ho apna haal. Merhaba

Aashiq ke dil jagmagane lage hai
Dekho zara muskurane lage hai
Shahkar-e-Rabb-Zuljalal Merhaba

Sadqa viladat ka jalwa dikha do
Dil ki lagi abb to aaqa buja do
Dikhla do apna abb jamal. Merhaba

Jud-o-sakahwat se adat tumhari
Failaye daman khade hai bhikari
Kar do karma Amena ke lal Merhaba

Jame shahadat piya hai jinhone
Ahle sunan ko jila di unhone
Yaad ayenge woh har saal. Merhaba

Shadi ke nagme sunate rehenge
Jashne viladat manate rahenge
Vaar denge tumpe jaanomal Merhaba..

Padhne laga jab ubaid unki naatain
Hone lagi charsoo ooski baatain,
Faize Raza ka hai sab kamal Merhaba


0 comments:

Post a Comment