Koi
saleeqa hai aarzoo ka, na bandagi meri bandagi hai
Yeh
sab tumhara karm hai aaqa keh baat ab tak bani hui hai
Kissi
ka ehsan kyon uthain, kissi ko haalat kyon batain
Tumhein
se mangein gey tum hi do gey, tumhare dar se hi loo lagi hai
Ata
kiya mujh ko darde-ulfat, kaha thi yeh pur khata ki qismat
Mein
iss karam ke kaha tha qabil, huzur ki banda parwari hai
Shoor
o fikro nazar ke dairey, had ka in se barh na paain
Na
choo sake un balandiyon ko, jaha maqame Muhammadi hai
Tajaliyon
ke kafeel tum ho, murad tu ke khalil tum ho
Khuda
ki roshan dalil tum ho, yeh sab tumhari hi roshni hai
Bashir
kahiye nazir kahiye, unhein siraje munir kahiye
Jo
sar ba sar hai kalam-e-rabbi, woh merey aaqa ki zindagi hai
Ammal
ki merey asas kiya hai, bajuz nadamat ke paas kiya hai
Rahe
salamat tumhari nisbat, mera to ek aasra yehi hai
Hai
Qaaba bhi marja-e-khalaiq, bohat numayan hai yeh haqaiq
Magar
jo maqsoode-e-aashqi hai, huzur ke dar ki haazri hai
Yehi
hai khalid asas rehmat, yehi hai khalid bina-e-azmat
Nabi
ka irfan zindagi hai, nabi ka irfan bandagi hai
0 comments:
Post a Comment