Ilahi madad kar, madad
ki ghari hai,
Gunaahon kay darya
mein kashti phansi hai.
Mere tan pay ghaflat
ki chaadar pari hai,
Nahoosat gunaahon ki
chaei hui hai,
Yahi baat hum nay
barhon say suni hai,
Na ho banagi gar to
kia zindagi hai,
Ae abr-e-karam aa
baras ja, baras ja,
Baras ja, baras ja,
baras ja, baras ja,
Ajab aag isyaan ki
mujh mein lagi hai,
Nahi pass husn-e-amal
meray Mola,
Nazar meri tere karam
per lagi hai,
Ubaid-e-Raza naikyon
say hai khali,
Gunaahon mein hasil
ise bartari hai,
Lab-e-Mustafa say
khudaya suna day,
Ubaid-e-Raza naar se
tu bari hai
0 comments:
Post a Comment