Ishq ke rang me rang jaein jab afkaar to khulte hein ghulaamon
pe wo asraar ke rehte hein wo tawseef sanaae shahe abraar me har lehzaa Guhar
baar
Warna Wo Sayyade Aale Nasabi han Wohi Ummi Laquabi Hashmi o
Motalabi o Arabi o Farashi o Madani aur kahan hamse gunahgaar
Aarzoo ye he ke ho qualb muattar wo mutahhar wo munawwar wo
mujalla wo musaffa durehaalaa jo nazar aae kahin jalwaae roue shahe abraar
Jin ke qadmon ki chamak chaand sitaaron me nazar aae jidhar se
wo guzar jaae wohi raah chamak jae damak jae mahak jae bane rawnaque gulzaar
Soung loun khushbue geisoue Muhammad wo siya zulf nahin jis ke
muquaabil ye banafsha ye suyunti ye chambeli ye gule laalaa o champaa ka nikhaar
Jis ki nakhat pe hein qurbaan gulo bargo saman naafaae aahoue
khutan bade chaman buwe chaman naaze chaman noure chaman range chaman saaraa
chaman zaar
Ik shahanshah ne bakhshe jo samarkand o bukhaaraa kissi mahboub
ke rukhsaar ke til par magar eh Sayyade Aali teri namos teri azmat par
Eh Rassoule Madani eik nahin laakhon hein qurbaan gahe ishq ke
har kuchao bazaar me sar apnaa hatheli pe liye phirte hein karne ko nisaar
Aap ke zikr me hein dam masaalaa sare huda kawne arab naghma
nigaaraane ajam shawkate alfaaz adab azmate kirtaas o qalam baate sabaa mohje
naseen
Dahne bulbule shiri lahane umriyo toti shafe mahtaab sitaare
malak o hour jinaa jin ki nawahon me duroodon ka hisaar
Warafahnaa lakazikrak ki iss aayaa e tawseef ki tawseef me
tafseer me tashreekh me tawzikh me tanween me har ehd ki shaamil he zabaan.
Labe Hassan o Ravaahaa wo labe Fatemah Zahraa wo Ali aabide
bimaarBusairi dahane ourtiyo jaame labe sahti o razaa sab sar shaar
Ishq ke rang me rang jaae muhajir ho ke pakhtoun balonchi ho ke
punjabi o sindhi kissi khitte ki kabile ki zaban isse nahin koyi sarokaar
Jaamae ishqe Mohammad jo pehenletaa he har haar ko wo phool
banaa letaa he dunyaa ko jhukaaletaa he kartaa he zamaane ko muhabbat ka shikaar
Ye muhaajir ki he saf aur ye punjaabi ki pakhtoun ki sindhi ki
balonchi ki juda par ke dikhao to kissi shehr ki masjid me kabhi eisi namaz
Harame kaabaa me arafaat ke maidaan me ya Rawza-e-Sarkaar pe
kyun shaane milaate wahan karte nahin rang ka aur nasl katum apni shoumaar
Yaa Nabi ! Aap ka ye adbi sanaakhwane dare rahmat ka gada detaa
he dar dar ye sadaa detaa he Aap se chaahat ka salaa apni zaban me taasir
Soun ke sab ahle chaman ous ka sukhan oun ko bhi aajaae hayaa
sar ho nidaamat se jhukaa aur nazar dekhe wo islaaf ki oulfat ka nazaaraa eik
baar
Eh Aadeeb! Ab youn hi alfaaz ke ambaar me ham doubte reh jaein
magar haqqe sanaa goyi adaa phir bhi naa kar paein ye jazbaat o zabaan o kalam
o fikr o khayaal
Un ki midhat to Malaaik ka wazifaa he Sahaaba ka tariqaa
heibaadat ka saleeqaa he ye khaaliq ka pasandeeda he Quraan ka he iss me shyaar
0 comments:
Post a Comment